Aaj jindagi se mulakat huyee
Kuchh sawal mujhse poochhti huyee
Kya khoya, kya paya tune
Lag gayee sare hisab lene
Bachpan tujhe diya thha maine
Masoom bhola banaya maine
Kya hua tere bholepan ko
Kyon khoya apnee masoomiyat ko
Jawani bitayee rangeeniyo mein
Samay gavaya vyarth jhagro mein
Jhooth fareb ki duniya mein tu
Khoya unn sabke chakkar mein tu
Samay ka nahi sadupayog kiya
Kam kissi ke bhi na aaya
Ab bhudha lachar bana tu
Jarjar kaya paya hai tu
Majboor kitna hai tu ab
Sahare ke liye tarse hai bas
Tap jap ab bhi tu kar le
Moh maya ke jhanjhat chhor de
Jo thori si bachi jeevan mei
Kuchh aisa kar ja jeevan mei
Lachari ko ab tu chhor de
Majbooti se pran tu kar le
Kam aisa ab kar ke ja
Jag mei har koi naam lega
Sakaratmak soch ab bana le
Kam kisi ke Bas tu aa le
Aage ab na kuchh kahungi
Iss se aage na bolungi.